Classification: Madani Rukus: 1 Ayahs: 5 Subject: Touheed (Allah ki panah) Related Surahs: 109. Surah Kafirun, 112. Surah Ikhlas and 114. Surah Nas
- Aap ﷺ par ek yahoodi ne jadu kar diya tha. Aap ﷺ par uska asar howa tha. Aap cheeze bhoolne lagy thy.
- Surah Falaq aor Surah Nas nazul hui. Aap ﷺ ne inka jab wird kiya to ahista ahista jadu ka asar khatam hogya.
- En 2 aakhri surah ko Mauzatain (معوذتین) bhi kehty hain.
- Surah Falaq mein insan bahar ki baddi se Allah ki panah maangta hai.
- Surah Nas mein insan us burai ya baddi ke shar se Allah ki panah maangta jo insan ke ander se aati.
- Sab makhlooq ke ander jo shar ka mada hai us se Allah ki panah.
- Andheri raat ke shar se jab wo chha jahe. Kiyu ke raat ke pehar mein e ese makhooqat harkt karti jese ke Jinn, jaduger, mozi janwar waghera.
- Jadugro/ taweezat karne walo se.
- Haasido ke hasad krne se jab wo hasad karte hain.