Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 3 Subject: Huzur ﷺ ko tassali Related Surahs: 105. Surah Fil, 106. Surah Quraysh and 107. Surah Maoon
- 105. Surah Fil ne taarikhi pasmanzar rakha.
- 106. Surah Quraysh ne muaashi pasmazar rakha.
- 107. Surah Maoon ne ikhlaqi pasmazar rakha.
- Surah Kausar mein Huzur ﷺ ka zahoor ho raha hai.
- Kausar: Kausar ki maane boht ziyada bhalai hota.
- Hauz-e-Kausar: Jannat ka hauz.
- Yahan jo bhi matlab liya jaye theek rahe ga. Matlab yahi hai ke Aap ﷺ ko bhot kuch de diya gaya jo insaan ki insaaniyat ke liye imtiaz ban sakta.
- Es azeem nemat ke baad Allah ko razi karne ke liye namaz aor qurabi karo.
- Abtar: Abtar arabi mein usy kehty thy jiski nasal aagy na bharhe.
- Jab Aap ﷺ ke bete ka inteqal howa to Aap ﷺ ke dushman Aap ﷺ ko ta'na diya ke Aap ﷺ ki nasal nahi chaly gi.
- Uska jawab is surah me diya gaya hai ke Aap ﷺ ko kausar ataa kiya jaye ga, abtar Aap ﷺ nahi balke Aap ﷺ ke dushman hongy.
- Aaj yeh baat Quran ki sach sabit hui hai. Huzoor ﷺ ko sari duniya jaanti hai lekin Aap ﷺ ke dushman ka zikar koi nai karta.