Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 5 Subject: Quraysh ke haalaat (taarikhi) Related Surah: 106. Surah Quraysh, 107. Surah Maoon and 108. Surah Kausar
- Last 10 Surahs Seerat un Nabi par hain.
- In aakhri surahs mein Huzur ﷺ ki wiladat ke zamany ke waqt quraysh ke kuch waqiat aor muaashi haalaat par roshni dali gayi hai.
- Aam-ul-feel waly dino mein Huzoor ﷺ ki wiladat hui thi.
- Baaz logo ki raaye hai ke 50 din baad Huzur ﷺ ki wiladat hui, kuch kehty usi din e hui thi.
- Abraha foj lekar aya tha Baitullah par hamla karne. Christian tha Yaman ka badshah.
- Usne Baitullah ki tarah ek aalishan Kaleesa tameer kiya tha.
- Us ne ailaan kiya tha ke ainda log Hajj par Kaba ni jaye gy balke usky Kaleesa mein ayen.
- Es ailaan se Arab ke logon mein gham aor gusse ki lehr dor ayi.
- Arab mein se kisi ne shararat kar ke us Kaleesa mein ghandaghi phela di. Jis par Abraha ko gussa aya ke mein inko sabaq sikhauga aor Kaba girany ka irada karke aaya.
- Woh Hathiyon par sawar hokar aye thy hamla karne. Isi liye unko As'haab-ul-Feel bhi kehty hn.
- Allah talla ne mujza dikhaya aor apne ghar ki hifazat ki.
- Samandar ke rasty se choty choty parindy choti kankariyaan le kar aye. Jo aasmaan se girty huey goliyo ka kam anjam de rahy thy.
- As'haab-ul-Feel: Hathi waly log.
- Allah ne Hathi walo ke sare dawey khatam kar diye.
- Un par ababil parindy bejhy, jo unky ooper matti ki kankariyaan phenkty thay.
- Jisne unko khaye howe bhossa ki tarah kar diya.
- Es Surah mein Aap ﷺ ko tasali di gayi hai ke jis tarah As'haab-ul-Feel ka Allah ne hashar kiya esi tarah jo log aapke sath dushmani kar rahe aor dawah kar rahe hain unka bhi haal esa e hoga.