Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 19 Subject: Tauhid aor aakhrat Related Surah: 87. Surah Alaa
- Yeh surat us time naazil hui jb Aap ﷺ ne khuly me islam ki dawat dena shru krdi thi.
- To kafir log imaan ni laaty thy.
- Aor Huzur ﷺ ki baton ko ignore karte thy.
- Ek waaqia (Qayyamat ka).
- Qayamat ka waqia m 2 trh k log hongy.
- Wo jin ke mooh latke hongy (Dozakhi).
- Jo k dehkti aag me jayengy
- Jahan unko kholta pani peene ko mily ga
- Khany ko na-bookh mitane wala kaate dar jaarh.
- Dusre qism k log wo hongy jo taro taza hongy (Jannati)
- Yeh loh Jannat me hongy.
- Jahan inko behty huey chashme hongy.
- Oont ki misal jisky ooper Arab ki saari zindagi ka daro madar tha.
- Aasman ka buland karna.
- Pahaaro ka gaarna.
- Zameen ka bichana.
- Nabi ﷺ ka fareeza to naseehat karna hai
- Aap ki yeh zimedari nai k unko zabardasti imaan dilayen.
- Ab wo log Haq ki bat ko samjhe ya na.
- Aap uski fikr na kren.
- Jo qufr kre ga yani inn sab baton ka inkar kre ga.
- usky liye bht azaab hai.