Skip to content

Latest commit

 

History

History
75 lines (67 loc) · 6.48 KB

18_Surah_Kahf.md

File metadata and controls

75 lines (67 loc) · 6.48 KB

Number 18: Surah Kahf

Dajjali fitnay se bachnay k liye is Surah ko parha jaye har Jumay ko.

  1. Ba’san Shadeeda = Shadeed aazmaish = Dajaal ka Fitna (Ayat 2)
  2. Dajal meaning Fareyb, Bana hua
  3. Aj kal ka fitna, akhirat pe dunia ka parda hona hai
  4. Dunia ke haqiqat = Dr. Israr’s video bayan on Dajal
  5. Dunia ke zebaish insaan k liye azmaish k torr pe peda kee gai hai (Ayat 7)

Ashab-e-Kahaf

  1. Ashab e Kahf, Hazrat Essa (A.S) k paerokaar thay jo k jis ghaar mein panah liye thay jo Turkey mein hein
    • Hazrat Essa (A.S) k baad Yahood ne Titus Roomi k khilaaf baghawat kee
    • Jis ne phir 1.5 k around Yahood qatal kr k baqioon ko jilaa watan kar dia
    • Ashab e Kahaf wo thay jinhein badshah ne bula k deadline dee thi k deen chor do khaas time mein wrna qatal krdeay jao ge
    • Jahan ye 300 baras tak soay rahay
    • Is 300 baray mein Roman empire ne Essaiyat ikhtiyaar kr lee
    • Theodoseus k zamanay mein inko jagaya
  2. (Ayat 19) mein Wal Yata-lataf mein jo tay hai idhar horoof k aitebaar se Quran ka nisf hai. Phir Laam se dusra nisf start ho rha hai.
  3. In k jaagnay k baad sabit ye hua k, Allah ka waada sacha tha or Qayamat bar haq hai
  4. In Sha Allah ke importance (Ayat 23)
  5. Shamsi hisaab se 300 baras rahay ghaar mein jo k Qamri hisaab se 300 saal or 9 mahinay banta hai (Ayat 24)
  6. Hazoor (S.A.W) pe dabao tha k kuch hamari maan leyn or kuch apki hm maan lete hein, to ye bataya ja raha hai k unki baatein na suniyay (Ayat 27)
    • Kisi b daa-ee k liye 3 cheezein bohat important hoti hein
    • k koi asar rasookh wala shaamil ho jaye to logon or tehreek ko taqwiyat milay, lekin is k 2 consequences hein:
    • k jo ghuraba ya masakeen tehreek ka hissa hein wo ye na smjhein k sari importance asar rasookh walon ke hai
    • phir muashray ko ye outlook na jaye k ye log b duniyawee asar rasookh ko baala tar rakh rahein hein
  7. Or mushkil waqt mein Quran k sath taaluq he sirf behtari ka baa’is banay ga (Ayat 28).

5th rukoo

  1. 5th rukoo mein 2 bandon ka zikr hai:
  2. Jismay se aik k pas duniyawi rizk ke farawani hai (Person A), or dusra deeni aitebaar se wali hai (Person B)
  3. Person A, apni dunia mein itna magan hogya hai k ab usay roz-e-akhirat pe aitebaar he nai raha. Yahi shirk hai k akhirat ko bhool k dunia ko he sb kuch smjh lena (jabkay masababul-asbab sirf Allah ke zaat hai)
  4. Jab Person B, Person A ko ye smjhanay ke koshish krta hai to wo Person B ko jhirak deta hai jisay intahai napasand kia gya
  5. Phir Person A ke sari duniyavi dolat us se ley lee jati hai or wo phir aah o baqaa krta hai k kash mene ye shirk na kia hota
  6. Yahan smjhnay k laik 2 cheezein hein:
    • Puray rukoo mein shirk ke koi form nai mentioned jo k hm normally jantay hein, to shirk ke jo form batai ja rahi hai wo hai duniaa mein itna gum ho jana k akhirat he bhool jaye jo k Allah ne aik na aik warid karni hai.
    • Kisi b Allah k wali ka dil dukhaana, Allah k aazaab ko mangnay k mutaradif hai.

Hazrat Musa (A.S) aur Hazrat Khizar (A.S) ka waqiya

  1. Hazrat Musa (A.S) k sath unkay khadim b thay (Yusha Ibn Noon)
  2. Hazrat Khizar (A.S) k baray mein Quran mein nahi k naam kya tha unka
  3. Na ye pata hai k wo Farishtay thay ya Barguzeeda Insan thay
  4. Hazrat Musa (A.S) ka 3 baar Hazrat Khizar (A.S) k kehnay k bawujood sabar na karnay ke waja se Hazrat Khizar (A.S) ne sawalat k jawabaat de k rukhsat ley lee.
  5. Conclusion: Tafveez-ul-Amar-illal-Allah, yani Banda e Momin ka kaam yahi hai apnay mamulat ko Allah k hawalay kar de or sab se barh kar sabr karay , kyu k Allah se barh k koi behtar karsaaz nai hai.

Hazrat Zulqarnain

  1. Zulqarnain kon hein? = next topic (History starting in -> 018_Al-Kahef_083_To_019_Maryam_050.mp4)
  2. Alexandar ko kaha jata hai par wo nai tha. Zulqarnain wo badshah thay jinhon ne Iran jo 2 hisson mein bata hua tha usko aik kia. Isi waja se isi alamat mein k 2 mulkon (Faras and Maa’da) ko jora hai to apnay taaj mein 2 seengh laga liay thay jiski waja se unhein Zulqarnain laqab dia gaya tha.
  3. Kay-Khusro ya Sirus k naam se tareekh mein Zulqarnain mashoor hein
  4. Zulqarnain, Yahood k mohsin hein, jinhon ne unhay Iraq (Babylonia) mein ghulami se nijaat dilai. Phir inhon ne wapas aa k Hazrat Uzair (A.S) ke sarbarahi mein Haikal-e-Sulaimani ko dobara tameer kia jo k Nebuchednezzer (Iraq ka previous badsha) ne tabah kr k Yahood ko ghulam bana lia tha.
  5. Meditterranean k paas jahan sooraj doobta inko nazar aya (maghrib ke taraf), jahan inhon ne fatah hasil kee thi, aik qaum thi.
  6. Phir mashrik (shayad Makran coastal highway) ke taraf aaye jahan wo qaum thi k jo chatt nai banaya kartay thay gharoon kee (yani sirf darmyaan mein chatt hoti thi ooper se sooraj khula hota tha gharoon pe)
  7. Ab shumaal mein muhim start kee, jab tak k wo 2 paharoon k darmyan pohanch gaye, jahan Yajooj-Majooj loot-mar kartay thay fasaad phelaatay thay.
  8. is qaum ne kaha tha k ap k liye hm salaana aik amount fix kar deyn k ap unkay or hamaray darmyan aik dewaar khari kar deyn.
  9. Yajooj-Majooj ke definition:
  10. Aik nasal ka naam hai.
  11. Hazrat Nooh (A.S) k jo 3rd betay thay Yafis, unki nasal hai jo Russia, China or Scandinavian (Nordic races) mumalik mein abaad hoi or ye mostly wehshi log thay. Yajooj-Majooj b unkay beton mein se hein.
  12. 2 jaga in ka zikar hai. Aik Surah Kahf or dusra Surah Ambiya mein hogi.
  13. Zulqarnain ne kaha k mjhay tm se koi qeemat nai chahiyay, mjhay tmhaari manpower or mehnat ke zarurat hai aik dewaar banaanay k liye.
  14. Dewaar ke details:
    • Daryaal aur Darband k darmyaan kushaada rasta hai (west coast Caspian k sath)
    • Lambai: 50 meel, Unchai: 29 ft. & Chorai: 10 ft.
  15. Ye sab kar k b unhon ne k ye sb mere Rab k karam se hai mera koi kamal nai. Or jab mera Rab chahay ga ye dewaar khatam ho jaye ge.
  16. Qayamat k qareeb jab waqt aaye ga to Yajooj-Majooj release hon ge jese maujain ke maujain logon ke aa rahi hai jo samandar ko peeti ja rahi hai or zameen ko khaati/fatah karti ja rahi hein.
  17. Chinese se inki khosoosiaat kafi milti hein.
  18. Phir qayamat aaye ge or soor phoonki jaaye ge.

Last Rukoo

  1. Akhri ruko ab dunia k lagao or akhrat se inkaar ke details pe hai
  2. Ayat 104, Sab se zyada nakaam wo hein jo dunia mein lagay bethay hein or Ayat-e-Rabi k munkir hein. Or jo inkay jo behlaway hein, wo qayamat k din kuch kaam nai hein (e.g. dikhlaway k rozay, charity etc).
  3. Jo shakhs b sirf talib-e-dunia hai wo kafir hai. (Jo damm ghaafil so damm kaafir)
  4. Akhri 2 ayat = Tauheed k baray khazanay
  5. (Ayat 110) To jis shakhs ne b Allah se milna hai, to Ussi aik Hasti ke ibadaat karay, amal-e-sualeh karay or Uss zaat ka shareek kisi ko na thehraaye.